mausam-e-gul mein hain diwanon ke bazar kai

mausam-e-gul mein hain diwanon ke bazar kai
shor-e-bulbul kai zanjir ki jhankar kai

sab gai bu-e-murawwat ki kal is bagh se haif
bare daman-kash-e-dil rah gae hain khar kai

kab lag ahbab ka gham mujh ko dikhawega falak
khak ho gae bahut aur hain so chalan-haar kai

ai siyah-chashmo nahin kuchh mujhe gulzar se kaam
dagh-e-lala hi se rakhta hun sarokar kai

sakht yaron ki kudurat se hua hun be-dil
kha gae aaina-e-dil mera zangar kai

mausam-e-gul mein mere chaak-e-gareban ko dekh
phad gae pairahan-e-sabr rafu-kar kai

din pade shola-rukhon bin mujhe jun dud-e-charagh
meri dil-sozi se jalte hain shab-e-tar kai

jaldi awwal ki hai par aabla panw mein mere
aur wo gul-ru ki rahe rah mein ab khar kai

sard-mehri teri khun garm hai az-bas mujh sat
hain rag-e-lal-e-jigar nala-e-khun-bar kai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close