mausam sukha sukha sa tha lekin ye kya baat hui kewal us ke kamre mein hi raat gae barsat hui main ne samjha, us ne samjha, bhid mein bhi khamoshi thi dekhne wale kuchh bhi na samjhe lekin phir bhi baat hui bin mange mil jae moti to is ko taqdir kaho daman phaila kar duniya mil jae to khairaat hui sankat ke din the to sae bhi mujh se katraate the sukh ke din aae to dekho duniya mere sat hui jiwan ke is khel mein apna gyan bhi dhoka deta hai ulte sare daw hamare shah bhi di to mat hui jate jate tanhai ka gham dene wo aae the tum hi bolo kya ye un ki ulfat ki saughat hui 'azam' bhulna chahe bhi to ab tak bhul na pae wo un ki yaadon se wabasta aise meri zat hui