mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa

mausam to badalte hain lekin kya garm hawa kya sard hawa
ai dost hamare aangan mein rahti hai hamesha zard hawa

sab apne shanasa chhod gae raste mein hamein ghairon ki tarah
chehre pe hamare dal gai la kar ye kahan ki gard hawa

chhute na kabhi phulon ka nagar koshish to yahi hai apni magar
ek roz uda le jaegi patton ki tarah be-dard hawa

kya baat hui kyun shahr jala ab is ke siwa kuchh yaad nahin
ek fard sarapa aag hua pal-bhar mein hua ek fard hawa

aai hai ghane jangal mein abhi jo khel bhi chahe khele magar
kal mere sath udaegi phir sahra sahra gard hawa

aankhon ki chamak mauhum hui lau dete badan afsurda hue
dar aai hai 'qaisar' ghar mein mere ye kaisi ruton ki sard hawa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close