maut bhi aati nahin hijr ke bimaron ko

maut bhi aati nahin hijr ke bimaron ko
kya musibat hai zara dekhna bechaaron ko

nala-e-dil ne hamare to asar kam na kiya
aur mazuri ziyaada hui dil-daron ko

go hain jannat mein maze lek nahin bhulne ka
hont ka chatna tujh lab ke namak-khwaron ko

is se behtar nahin kui chiz siwa bose ke
ru-numai mein jo dewen tere rukhsaron ko

kabhi rona kabhi sar dhunna kabhi chup rahna
kaam karne hain bahut se tere be-karon ko

main ne kaghaz teri taswir ka isa ko diya
nuskha jun dete hain bimar sab attaron ko

pattharon hi pe tajalli hai to hum ghairat se
aankhon hi mein liye mar jaenge nazzaron ko

sab namuna hai haqiqat ka jahan tak hai majaz
nas jo karte hain gulzaron ki diwaron ko

ye ghazal khidmat-e-nawwab ki hai mir-'raza'
aur ek dusri kah dijiye ham-karon ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close