mayusi ki kaifiyyat jab dil par tari ho jati hai

mayusi ki kaifiyyat jab dil par tari ho jati hai
rafta rafta din-o-duniya se be-zari ho jati hai

awwal awwal khush aata hai pariyon ke khwabon mein rahna
baad mein lekin ye haalat zehni bimari ho jati hai

aql pe parda pad jata hai aur hum sab kuchh kho dete hain
jab koi shakhsiyyat hum ko had se pyari ho jati hai

rizq muqaddar mein likha hai phir ye karobar-e-jahan kya
ek ek dana kamane mein kis darja khwari ho jati hai

baz maqam aise hote hain jin se aage badh jaen to
un tak wapas aane mein behad dushwari ho jati hai

hum to sheri canwas par bas dil ka haal raqam karte hain
sachche jazbon se is par khud naqsh-nigari ho jati hai

aksar mujh se mahinon 'kashif' koi sher nahin ho pata
taza zakhm magar lagte hi taza-kari ho jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close