mazhab-e-ishq mein shajara nahin dekha jata hum parindon mein qabila nahin dekha jata lashkar-e-khwab kisi taur utar aankhon mein raat bhar nind ka rasta nahin dekha jata surma bap ne talwar bhi girwi rakh di hath mein bachchon ke kasa nahin dekha jata tum mere yar ho kaise main hara dun tum ko mujh se dushman ko bhi paspa nahin dekha jata is zamane ko faqat maut nazar aati hai dubne wale ka jazba nahin dekha jata ai azizo! mujhe mitti ke hawale kar do mujh se ab jism ka malba nahin dekha jata jab se dariya pe hua pyas ka qabza 'hashim' lab-e-dariya koi pyasa nahin dekha jata