hadisa ishq mein darpesh hua chahta hai dil shahanshah se darwesh hua chahta hai ishq ko zid hai ki tamir kare shahr-e-umid husn kam-bakht bad-andesh hua chahta hai is ilaqe se mera koi talluq bhi nahin ye ilaqa ki mera desh hua chahta hai mere ashaar mein ghazlon main mere giton mein ek ka zikr kam-o-besh hua chahta hai jah ki chah nahin khwahish-e-mansab bhi nahin mere andar koi darwesh hua chahta hai malik-e-saut-o-sada shaer-e-gumnam raza teri dahliz pe ab pesh hua chahta hai