mera adam wajud bhi kya zar-nigar tha chaaron taraf khala mein chamakta ghubar tha sahil bani nigah ki had fasle mite girdab-e-mauj-e-dud makan ka hisar tha pi kar lahu siyah hui kisht-e-arzu kya dekhte ki khak ka dawa bahaar tha maujon mein dubti hui surkhi thi sham ki dil dasht-e-pur-sukut tha dariya qarar tha ek bojh uthae sham ko lauta hun main nidhaal main apne dam-e-shauq mein kya khud shikar tha dil ka suragh kya ki jahan tak nigah ki nairang-e-naqsh-e-rafta-e-pa-e-farar tha main ek shajar sukut tha aur meri chhanw mein girta hua sadaon ka ek aabshaar tha khurshid-o-mah mere liye ek fasana the tarik jangalon ka main lail-o-nahaar tha shoale daraaz dast the aur mere samne khurshid sham-e-dasht ka tarik ghaar tha main khak-e-dil bikher raha tha hawa mein 'zeb' aur is se be-khabar tha ki us mein sharar tha