mera KHulus abhi saKHt imtihan mein hai

mera khulus abhi sakht imtihan mein hai
ki mere dost ka dushman meri aman mein hai

wo khush-nasib parinda hai jo udan mein hai
ki tir nikla nahin hai abhi kaman mein hai

tumhaara nam liya tha kabhi mohabbat se
mithas us ki abhi tak meri zaban mein hai

tum aake laut gae phir bhi ho yahin maujud
tumhaare jism ki khushbu mere makan mein hai

kahan milega hasinon ko daur-e-hazir mein
wo shahzada jo pariyon ki dastan mein hai

hai jism sakht magar dil bahut hi nazuk hai
ki jaise aaina mahfuz ek chattan mein hai

tujhe jo zakhm de tu us ko phul de 'dana'
yahi usul-e-wafa tere khandan mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close