mera shikwa teri mahfil mein adu karte hain us pe bhi sabr hum ai arbada-ju karte hain mashq-e-bedad-o-sitam karte hain gar wo to yahan hum bhi bedad o sitam sahne ki khu karte hain jaan hui hai nigah-e-nam pe un ki aashiq chaak dil tar-e-nazar se jo rafu karte hain be-sabaati chaman-e-dahr ki hai jin pe khuli hawas-e-rang na wo khwahish-e-bu karte hain aaj shamshir ba-kaf nikle hain wo dekhiye tar aab-e-shamshir se kis kis ke gulu karte hain hai rachi jin ke dimaghon mein teri zulf ki bu ambar o mushk ki kab bu ko wo bu karte hain mushk o ambar ka unhen nam bhi lena hai nang yar ki zulf-e-moambar ko jo bu karte hain chaak karte hain gareban ko wahshat mein kabhi chaak-e-dil mein kabhu nakhun ko faru karte hain dekh sauda-zada-e-ulfat-e-khuban ai 'aish' wadi-e-ishq mein kya kya tag-o-pu karte hain