mera us ke pas-e-diwar ghar hota to kya hota qaza se ai falak gar is qadar hota to kya hota janaze par mere us shokh ko laya hai tu aakhir agar ai ishq kuchh tujh mein asar hota to kya hota hua behosh bilkul aah us ki aamad aamad mein gar aane se main us ke ba-khabar hota to kya hota isi aalam mein hain ye lutf ai dil ishq-bazi ke agar bagh-e-jinan mein bul-bashar hota to kya hota tajalli to hui musa ko par meri tarah waiz hamesha jalwa-gar har ek shajar hota to kya hota hunar-mandon ko tere hath se hai zindagi mushkil jo tujh mein bhi koi ai dil hunar hota to kya hota kiya badnam ek aalam ne 'ghamgin' pak-bazi mein jo main teri tarah se bad-nazar hota to kya hota