mere dil mein to har zaman ho tum chashm-e-zahir se kyun nihan ho tum be-wafaen ka aib kaisa hai ye to sach hai ki meri jaan ho tum jab chalo titar hi ki chalte ho mere haq mein to aasman ho tum dil-o-din donon nazr karta hun aisi chizon ke qadr-dan ho tum dekh ghamgin mujhe bigadte ho par-le darje ke bad-guman ho tum arsh-paimai-e-khayal abas kaun pahuncha wahan jahan ho tum baat mein dil ko khinch lete ho kis qayamat ke khush-bayan ho tum hai sawal aur aur jawab hai aur sach kaho is ghadi kahan ho tum bachiye aghyar ki nazar na lage chashm-e-bad-dur naujawan ho tum dushmani hum karen to kis kis se ek aalam pe mehrban ho tum zulf ke bar se kamar lachke kis qadar nazuk ai miyan ho tum dekhne ki majal hai kis ko misl-e-khurshid go ayan ho tum hai wahi thik jo kaho 'majruh' kyun na ho sahab-e-zaban ho tum