mere hisar se bahar bula raha hai mujhe

mere hisar se bahar bula raha hai mujhe
koi hasin sa manzar bula raha hai mujhe

jahan muqim tha main ek ajnabi ki tarah
wahi makan ab aksar bula raha hai mujhe

jo thak ke baith gaya hun main bich raste mein
to ab wo mil ka patthar bula raha hai mujhe

hua hai tishna-labi se muahida mera
abas hi roz samundar bula raha hai mujhe

bujha diye hain usi ne kai charagh mere
jo ek shama jala kar bula raha hai mujhe

wo jaanta hai main us ke sitam ka khugar hun
so bar bar sitamgar bula raha hai mujhe

bula raha hai to khul kar kabhi bulae wo
bas ek ishaare se aksar bula raha hai mujhe

dayar-e-ghair mein rahta hun main magar 'alam'
har ek lamha mera ghar bula raha hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close