mere ilzam sab zamane par wo nahin hai mere nishane par pattharon se bhi ishq hota hai main ne jaana ye tujh ko pane par ek baadal bahut hi roya tha ek dariya ke sukh jaane par mujh ko aasan tha rula dena diqqaten aaengi hansane par waqt ki qaid mein raha itna panchhi udta nahin udane par kis tarah ka hisab hai 'aqib' ishq badhta hai kyon ghatane par