mere KHayal se aage tera nishana paDa

mere khayal se aage tera nishana pada
samand-e-shauq pe ek aur taziyana pada

abhi to ishq o nazar ke hazar pahlu the
gale hamare kahan se gham-e-zamana pada

parae nur se main kasb-e-faiz kya karta
asar pada hai kabhi kuchh to ghaebana pada

mujhe bhi qarz chukana tha us ka ab ke baras
ghalat nahin jo mera dasht mein thikana pada

kisi ke hisse mein aai khirad ki saffaki
kisi ke hath gham-e-ishq ka khazana pada

raha na koi yahan sar-ba-sar tahi-daman
sabhi ke zarf mein maqdur phir zamana pada

hazar aankh dikhate rahe adu 'nami'
ghazal ghazal hi rahi farq ek zara na pada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close