mere qadmon par nigun mera hi sar hai bhi to kya

mere qadmon par nigun mera hi sar hai bhi to kya
mere sae ki ye sazish kargar hai bhi to kya

teri khush-fahmi ke is aaina-e-sad-rang mein
aks chehre se siwa jazib-nazar hai bhi to kya

apne markaz se juda ho kar agar ye fikr-e-nau
daera-dar-daera garm-e-safar hai bhi to kya

zahr ki kohna riwayat hi ka dar das jaega
jism se lipti ye nagin be-zarar hai bhi to kya

mehrban qatron ki barish abr-e-ainda mein hai
fasl-e-imkan ab ke mausam be-samar hai bhi to kya

sair-e-la-samti se bhi la-hasili ka lutf le
reg-e-sahra be-sada o be-samar hai bhi to kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close