wal-asr zamana mere matlab ka nahin hai

wal-asr zamana mere matlab ka nahin hai
ye aaina-khana mere matlab ka nahin hai

kahti hain na la paengi ye tab-e-nazara
aankhon ka bahana mere matlab ka nahin hai

aai hun tere waste jannat se zamin par
warna ye thikana mere matlab ka nahin hai

is mein hai mera sanwi kirdar likhaari
tera ye fasana mere matlab ka nahin hai

ek shakhs ki khatir hai ye sab milna-milana
waise wo gharana mere matlab ka nahin hai

ji khub laga wahshat-e-bedari-e-shab mein
din khwab suhana mere matlab ka nahin hai

jab mujh se tere bare mein puchhega zamana
kah dungi diwana mere matlab ka nahin hai

ehsas ka 'nilam' jo nahin tere bayan mein
lafzon ka khazana mere matlab ka nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close