mere suKHan mein tabhi falsafa ziyaada hai

mere sukhan mein tabhi falsafa ziyaada hai
ki main ne likkha bahut kam padha ziyaada hai

us ek rang ki thi justuju zamane ko
wo ek rang jo mujh pe khula ziyaada hai

tum hi batao abhi kaise chhod dun us ko
abhi wo mujh mein zara mubtala ziyaada hai

ye ek pal ki wafa muddaton ka rona hai
zara se jurm ki itni saza ziyaada hai

main apne aap mein hun hi nahin so ab mujh mein
kuchh ek din se koi dusra ziyaada hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close