meri hayat hai bas raat ke andhere tak

meri hayat hai bas raat ke andhere tak
mujhe hawa se bachae rakho sawere tak

dukan-e-dil mein nawadir saje hue hain magar
ye wo jagah hai ki aate nahin lutere tak

mujhe qubul hain ye gardishen tah-e-dil se
rahen jo sirf tere bazuon ke ghere tak

sadak pe soe hue aadmi ko sone do
wo khwab mein to pahunch jaega basere tak

chamak-damak mein dikhai nahin diye aansu
agarche main ne ye nag rah mein bikhere tak

kahan hain ab wo musafir-nawaz bahutere
utha ke le gae khana-ba-dosh dere tak

thaka hua hun magar is qadar nahin ki 'shuur'
laga sakun na ab us ki gali ke phere tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close