meri izzat baDh gai ek pan mein

meri izzat badh gai ek pan mein
farq kya aaya tumhaari shan mein

un ko dekha to kaha yun kan mein
kyun khalal dala mere iman mein

aashiqi hai bahar-e-napaida-kanar
kashti-e-dil aa gai tufan mein

hai yahi pahchan baali umr ki
baaliyan wo do faqat hain kan mein

tere sadqe ke liye hazir hain sab
dur samundar mein jawahar kan mein

de ke dil us but ko apna kar liya
is tijarat mein nahin nuqsan mein

kya mai-e-gul-gun se raunaq ghat gai
rang balki aa gaya iman mein

us but-e-kafir ko sajda kar liya
is se kya aaya khalal iman mein

tum pari ka fakhr ho huron ka naz
kash hote firqa-e-insan mein

us ke rukhsaron pe hai khat ki numud
hashiya ye hai naya quran mein

gesu-e-pechan tere rukhsar par
sura-e-wallail hai quran mein

aariz-e-taban pe hai khat ki numud
habshiyon ki fauj ya iran mein

kah do pesh aaya kare achchhi tarah
chal na jae mujh mein aur darban mein

wo karen zulm aur tum lab par na lao
warna gustakhi hai un ki shan mein

sunte sunte waizon se hajw-e-mai
zoaf sa kuchh aa gaya iman mein

yun kahunga wun kahunga tha khayal
ru-ba-ru kuchh bhi na aaya dhyan mein

us ki qudrat se nahin 'parwin' baid
rai ko parbat bana de aan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close