uljhi thi zulf usne sanwara sanwar gai

uljhi thi zulf us ne sanwara sanwar gai
shane ko kya khabar ye bala kis ke sar gai

aaine bhi banae to dekha na apna munh
ab tak na khadd-o-khal pe apne nazar gai

yun to rawaq-e-daulat-o-din bhi the saya-dar
lekin thakan gharib ki su-e-shajar gai

ahl-e-nazar na mujh pe hansen meri ye nazar
kuchh to barun-e-halqa-e-hadd-e-nazar gai

raste mein kya dhara tha ki rukti kahin nigah
dekha tumhein to umr-e-gurezan thahar gai

unchi hui fughan to gai aasman ke par
utra jo arsh se to dilon mein utar gai

manzil to apni hadd-e-nazar hi pe thi 'jamil'
pahunche wahan to aur kuchh aage nazar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close