meri khatir der na karna aur safar karte jaana lekin chhod ke jaane walo ek nazar karte jaana hijr ki shab ke taro tum ko dub to jaana hai lekin mere dil par kya guzri hai un ko khabar karte jaana hum se dard ke maron ki mukhtari kya majburi kya jina aur na marna lekin umr basar karte jaana itna sukun itni khamoshi kaise raat guzaren hum jate jate mahfil-e-dil ko zer-o-zabar karte jaana roti aankhen ya hanste lab aap bhi ek saudai hain chup chup rahna aur tawaf-e-rahguzar karte jaana aur zara chamka dena yaadon ke bhadakte shoalon ko ai gham-e-dauran ai gham-e-jaanan dil pe asar karte jaana kis ko khabar 'shahzad' ki un aankhon mein kaisa jadu hai kahna aur na sunna lekin dil mein ghar karte jaana