meri KHatir koi nama koi paigham to ho

meri khatir koi nama koi paigham to ho
dil-e-muztar ko kisi taur se aaram to ho

mujh se aawara ko mil jae magar ja-e-aman
aarzu hai tere kuche mein kabhi sham to ho

mauj-e-khun sar se guzar jae to kuchh baat bane
aaj zindan mein bhi tazin-e-dar-o-baam to ho

tapte sahra mein bhi saya kahin mil jaega
pahle ai dost tujhe jurat-e-yak-gam to ho

be-gunahi ka mere qatl pe charcha hoga
koi bohtan tarasho koi ilzam to ho

gar tera lutf nahin tera taghaful hi sahi
aakhirash meri wafa ka koi inam to ho

ungliyan uthti hain jis samt bhi jate ho 'habab'
na sahi kuchh magar ek shair-e-badnam to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close