meri nawa se hue zinda aarif o aami

meri nawa se hue zinda aarif o aami
diya hai main ne unhen zauq-e-atish aashami

haram ke pas koi aajmi hai zamzama-sanj
ki tar tar hue jama hae ehrami

haqiqat-e-abadi hai maqam-e-shabbiri
badalte rahte hain andaz-e-kufi o shami

mujhe ye dar hai muqamir hain pukhta-kar bahut
na rang lae kahin tere hath ki khami

ajab nahin ki musalman ko phir ata kar den
shikwa-e-sanjar o faqr-e-juned o bastami

qaba-e-ilm o hunar lutf-e-khas hai warna
teri nigah mein thi meri na-khush andami


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close