meri qismat se qafas ka ya to dar khulta nahin dar jo khulta hai to band-e-baal-o-par khulta nahin aah karta hun to aati hai palat kar ye sada aashiqon ke waste bab-e-asar khulta nahin ek hum hain raat bhar karwat badalte hi kati ek wo hain din chadhe tak jin ka dar khulta nahin rafta rafta hi naqab utthegi ru-e-husn se wo to wo hai ek dam koi bashar khulta nahin