meri ruswai ka yun jashn manaya tum ne ret par nam likha aur mitaya tum ne fikr ki dhup mein jhulsi hun kai sadiyon tak main ne paya hai tumhein mujh ko na paya tum ne main ne jab chaha bhula dun teri yaadon ko tabhi pyar ka git mujhe aa ke sunaya tum ne ishq ne sudh hi bhula di thi mere tan man ki tut hi jati magar mujh ko bachaya tum ne waqt ne mujh se usi waqt hansi chhini hai jab bhi roti hui aankhon ko hansaya tum ne ehtiyaton ne mere paon wahin rok liye jab meri samt kabhi hath badhaya tum ne