meri tabahiyon pe koi muskura diya goya kisi ne kuchh to mujhe aasra diya sare jahan pe mujh ko nahin dastaras magar sare jahan ko kis ne mera dil bana diya ai jaan-e-jaan ki yaad teri aa ke rah gai jaise kisi ne naghma kahin gunguna diya lahron ki lai pe git tera ganw aa bhi ja aankhon ne teri yaad mein dariya baha diya pahli si wo hikayat-e-sham-o-sahar nahin shayad kisi ne 'daur' tujhe kuchh bhula diya