meri zat ka hayula teri zat ki ikai koi ham-safar hai mera ki hai teri khud-numai main hun pur-sukun azal se main hun pur-sukun abad tak magar aankh kah rahi hai nahin tujh se aashnai main to lut chuka zamane! mere pas kya raha hai mere hont sil chuke hain main bhala dun kya duhai ye farar ka hai lamha ki qarar ki hai surat teri chand si jabin par nahin dagh-e-bewafai yahi umr bhar ka dukh hai yahi zindagi ka sukh hai na koi fareb-e-hasti na shuur-e-dil-rubai main to kal bhi tha safar mein main hun aaj bhi safar mein wahi daur meri manzil wahi meri jag-hansai main 'zuhair' sochta hun kabhi zakhm nochta hun jaane kab nasib jage mile fikr se rihai