misal-e-sang-e-tapida jade hue hain kahin hamare khwab yahin par pade hue hain kahin ulajh rahi hai nai dor narm hathon se patang shakh-e-shajar par ade hue hain kahin jinhen ugaya gaya bargadon ki chhanw mein bhala wo ped chaman mein bade hue hain kahin guzar gaya wo qayamat ki chaal chalte hue jo muntazir the wahin par khade hue hain kahin bula raha hai koi shahr-e-arzu se hamein magar ye panw zamin mein gade hue hain kahin