mizaj humse ziyaada juda na tha us ka

mizaj hum se ziyaada juda na tha us ka
jab apne taur yahi the to kya gila us ka

wo apne zoam mein tha be-khabar raha mujh se
use guman bhi nahin main nahin raha us ka

wo barq-rau tha magar wo gaya kahan jaane
ab intizar karenge shikasta-pa us ka

chalo ye sail-e-bala-khez hi bane apna
safina us ka khuda us ka nakhuda us ka

ye ahl-e-dard bhi kis ki duhai dete hain
wo chup bhi ho to zamana hai ham-nawa us ka

hamin ne tark-e-talluq mein pahl ki ki 'faraaz'
wo chahta tha magar hausla na tha us ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close