mohabbaton ke pale kaise nafraton mein Dhale

mohabbaton ke pale kaise nafraton mein dhale
ye soch soch ke hum shahr tera chhod chale

isi khayal se karta nahin par-afshani
mere paron ki ragad se kahin falak na jale

ye kah rahi thi hasina tamash-binon se
jo aap log hain achchhe to hum bure hi bhale

hayat o maut kahani hai saebanon ki
kabhi falak ke tale hum kabhi zamin ke tale

tere firaq ke sadme qubul hain lekin
jafa ke baad chale to wafa ka daur chale

ye jaanashin-e-qamar meri dastaras mein nahin
diye ki mauj hai bujh kar jale jale na jale

ajab tariq se utra visal ka lamha
pade hain jaan ke lale laga ke us ko gale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close