muddat ke baad munh se lagi hai jo chhut kar to ye bhi mai pe girti hai kya tut tut kar mehndi tha mera khun ki hota jo raegan ek shab ke baad hath se qatil ke chhut kar pahla hi din tha hum ko kiye tark-e-mai-kashi kya kya pada hai raat ko meinh tut tut kar sabr o qarar le ke diya dagh-e-arzu aabaad tum ne dil ko kiya mujh ko lut kar hairat hai mere akhtar-e-bakht-e-siyah ko kyun kar gahan se chand nikalta hai chhut kar allah-re aansuon ka khatakna firaq mein aankhon mein bhar gaya koi almas kut kar tapke nahin qalam ke faqat ashk nama par wo kuchh likha ki roi siyahi bhi phut kar kar band-o-bast abhi se na gulshan mein baghban wo din to ho ki murgh-e-qafas aaen chhut kar sad-haif sar-guzisht jo apni kahi 'jalal' tu is ko dastan samajh sach ko jhut kar