meri shaki hai khud meri fughan tak ki talu se nahin lagti zaban tak koi hasrat hi le aae mana kar mere ruthe hue dil ko yahan tak jagah kya dard ki bhi chhin lega jigar ka dagh phailega kahan tak asar nalon mein jo tha wo bhi khoya bahut pachhtae ja kar aasman tak falak tere jigar ke dagh hain hum mitae ja mitana hai jahan tak wo kya pahlu mein baithe uth gae kya na lin jaldi mein do ek chutkiyan tak koi mange to aa kar muntazir hai liye thodi si jaan ek nim-jaan tak uthane se ajal ke main na uthta wo aate to kabhi mujh na-tawan tak 'jalal'-e-nala-kash chupka na hoga wo de kar dekh len munh mein zaban tak