muddaton jo rahe bahaaron mein

muddaton jo rahe bahaaron mein
aaj wo ghir gae hain kanton mein

main ki sahra-naward hun lekin
parwarish chahta hun phulon mein

aks tera dikhai deta hai
bahte pani ki naram lahron mein

khul gae khwahishon ke darwaze
phir bhi koi nahin hai banhon mein

jo mahakte hain khushbuon ki tarah
lams tera hai un gulabon mein

kar-farma dikhai deta hai
mera ehsas mere jazbon mein

aaj hum se bichhad gaya 'akhtar'
tazkira ho raha tha logon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close