mujh mein paiwast ho chuki ho tum mere andar ki khamushi ho tum kya faqat shauq rah gaya hun main kis tarah baat kar rahi ho tum khas ye hai ke main nahin badla aur dilchasp ke wahi ho tum itna andaza-e-safar hai mujhe aakhiri mod pe khadi ho tum kis qadar chikhne laga hun main kitni khamosh ho gai ho tum khwab mein kya dikhai padta hai kis ke kandhe pe so rahi ho tum ek dhakka sa lag gaya hai mujhe sun liya hai ke ro rahi ho tum