mujhe apni pasti ki sharm hai teri rifaton ka KHayal hai

mujhe apni pasti ki sharm hai teri rifaton ka khayal hai
magar apne dil ko main kya karun use phir bhi shauq-e-visal hai

is ada se kaun ye jalwa-gar sar-e-bazm-e-husn-e-khayal hai
jo nafas hai mast-e-bahaar hai jo nazar hai gharq-e-jamal hai

unhen zid hai arz-e-visal se mujhe shauq-e-arz-e-visal hai
wahi ab bhi un ka jawab hai wahi ab bhi mera sawal hai

teri yaad mein hua jab se gum tere gum-shuda ka ye haal hai
ki na dur hai na qarib hai na firaq hai na visal hai

teri bazm-e-khalwat-e-la-makan tera aastan mah-o-kahkashan
magar ai sitara-e-arzu mujhe aarzu-e-visal hai

main watan mein rah ke bhi be-watan ki nahin hai ek bhi ham-sukhan
hai koi sharik-e-gham-o-mehan to wo ek nasim-e-shumal hai

main bataun waiz-e-khush-nawa hai jahan-o-khuld mein farq kya
ye agar fareb-e-khayal hai wo fareb-e-husn-e-khayal hai

yahi dad-e-qissa-e-gham mili ki nazar uthi na zaban mili
faqat ek tabassum-e-sharmagi meri be-kasi ka maal hai

wo khushi nahin hai wo dil nahin magar un ka saya sa ham-nashin
faqat ek gham-zada yaad hai faqat ek fasurda khayal hai

kahin kis se 'akhtar'-e-be-nawa hamein bazm-e-dahr se kya mila
wahi ek saghar-e-zahr-e-gham jo harif-e-nosh-e-kamal hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close