mujhe hansne ki aadat thi magar wo aur kuchh samjha

mujhe hansne ki aadat thi magar wo aur kuchh samjha
zara si ek shararat thi magar wo aur kuchh samjha

meri har baat par hansne se aksar wo ulajhta tha
mujhe us se mohabbat thi magar wo aur kuchh samjha

main hansti thi ki ranj-o-gham mera zahir na ho us par
muqaddar mein jo zulmat thi magar wo aur kuchh samjha

main sun kar tal jati thi nasihat ki sabhi baaten
meri dil se baghawat thi magar wo aur kuchh samjha

sunana haal-e-dil chaha magar us ko bhi jaldi thi
badi achchhi hikayat thi magar wo aur kuchh samjha

manana chahti thi sachche dil se ai 'dua' us ko
use mujh se shikayat thi magar wo aur kuchh samjha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close