mujhe kisi se kisi baat ka gila hi nahin ki apne dil ke siwa koi muddaa hi nahin tera karam mere din kulfaton ke yun guzre mujhe laga ki mere sath kuchh hua hi nahin lahuluhan ho dil ya qalam ho sar jaana teri gali ke siwa koi rasta hi nahin ki jis mein phul khilen aur chaman mahak uthe ye wo sahar hi nahin hai ye wo hawa hi nahin hai khush-mizaj magar dil ki baat kaise karen ki ek pal ko sahi wo kabhi khula hi nahin ajab hain ishq ki nazuk-mizajiyan yani bujha charagh-e-mohabbat to phir jala hi nahin ye kya jagah hai koi sun nahin raha aawaz pukarta hun magar koi bolta hi nahin