mujhe taDpa ke sharmata to hoga

mujhe tadpa ke sharmata to hoga
kiye par apne pachhtata to hoga

na lagta hoga dil bagh-e-iram mein
kabhi ghar mera yaad aata to hoga

shikast-e-zindagi de kar mujhe yun
wo fateh ban ke itraata hoga

kabhi yaad aa hi jate honge wo din
tera dil bhi tadap jata to hoga

nahin tark-e-mohabbat itna aasan
tasawwur mera rulwata to hoga

sukun-e-zindagi mein hogi halchal
dil-e-maghmum ghabraata to hoga

tabassum chhin gaya hoga labon se
wo dil hi dil mein gham khata to hoga

bahaar-e-rafta aati hogi jab yaad
junun mein sar ko takraata to hoga

ba-zahir khush sahi lekin kahan khush
banawat karke thak jata to hoga

wafaen meri yaad aati na hongi
teri aankhon mein ashk aata hoga

ye mana be-murawwat sang-dil hai
magar patthar pighal jata to hoga

na jaani bewafa ne qadr-e-neamat
mujhe ab kho ke pachhtata to hoga

dil-e-mahzun mein tis uthti na hogi
khayal-e-'tahira' aata to hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close