mujhe wo kaifiyat apni batane kyun nahin aaya tujhe malum to hoga zamane kyun nahin aaya wo suraj hai to phir us ke na aane ka sabab kya hai mere sae se milne ke bahane kyun nahin aaya main us ko khinchti hi rah gai lekin na aaya wo wo mera sans tha aur sans jaane kyun nahin aaya meri khali kalai kah rahi hai id ki shab ko wo ab tak chudiyan le kar na jaane kyun nahin aaya bahut dawa tha us ko dil ki bazi jit jaane ka to phir is khel mein mujh ko harane kyun nahin aaya daricha khol ke kab se sarapa gosh baithi hun koi mausam teri baaten sunane kyon nahin aaya wo kahta tha ki us ki guftugu hai aaine jaisi to phir chehra mera mujh ko dikhane kyun nahin aaya