mujhko zinda rahne ka ek jazba aa ke mar gaya

mujh ko zinda rahne ka ek jazba aa ke mar gaya
main apni sanson se aakhir ladte ladte haar gaya

apni ninden apni raaten apni aankhen apne khwab
tum ko jitne ki khatir mein apna sab kuchh haar gaya

jaisi chizen mujh mein thin sab waisi duniya mein bhi thin
apne andar se main bahar aakhir ko be-kar gaya

ishq ke is saude mein mujh ko itna bhi malum nahin
kitni teri nafrat aai kitna mera pyar gaya

yaad rakhenge duniya wale meri is qurbani ko
pahle junun ko aam kiya aur phir main su-e-dar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close