hum apne bakht-e-siyah ke asar mein rahte hain wo raat hai ki sitare nazar mein rahte hain tamasha-e-gah-e-tulu-o-ghurub se hat kar hum ek sawad-e-shab-e-be-sahar mein rahte hain na thi khuda ki zamin tang jin ke qadmon par fughan ki qaid wo diwar-o-dar mein rahte hain wo aagahi ke samundar kahan hain jin ke liye tamam-umr ye pyase safar mein rahte hain hawa-e-kucha-e-mahbub se kahe to kaun ki hum bhi aarzu-e-nama-bar mein rahte hain wo shahryar-e-sukhan nam jin ka 'sahba' hai faqir ban ke teri rahguzar mein rahte hain