mujh se bada hai mera haal tujh se chhuta tera khayal chaar pahar ki hai ye raat aur judai ke sau sal hath utha kar dil par se aankhon par rakkha rumal nang hai takiyedaron ka pa-e-talab ya dast-e-sawal man jo kahta hai mat sun ya phir tan par mitti dal ujla ujla tera rup dhundle dhundle khadd-o-khal sukh ki khatir dukh mat bech jal ke pichhe jal na dal raj-singhasan mera dil aan biraje hain jagpal kis din ghar aaya 'jawed' kab paya hai us ko bahaal