kis ki taswir se aaina Daraata hai mujhe

kis ki taswir se aaina daraata hai mujhe
kaun ye mujh sa hai aankhen jo dikhata hai mujhe

nit-nae sahil-o-amwaj dikhata hai mujhe
ek samundar hai ki har-lahza bulata hai mujhe

hai nihan-khana-e-gham us ki hansi ke pichhe
hansta rahta hai wo khud aur rulata hai mujhe

raat-bhar koh-e-nida se mujhe deta hai sada
subh hote hi bulandi se giraata hai mujhe

ashk ye aur kisi ka hai sar-e-sham-e-umid
meri aankhon mein utar kar jo rulata hai mujhe

kise achchha kahun ab kis ko bura ai 'betab'
har koi apne hi jaisa nazar aata hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close