mujrim hai tumhaara to saza kyun nahin dete

mujrim hai tumhaara to saza kyun nahin dete
is shakhs ko jine ki dua kyun nahin dete

is ped ke sae mein bhi kyun itni ghutan hai
hain sabz ye patte to hawa kyun dete

jis khun mein aa jae safedi ki milawat
us khun ko aankhon se baha kyun nahin dete

aaine satate hain to chehre ko na dekho
aankhon mein chamak hai to bujha kyun nahin dete

is arsa-e-khamosh mein hum tanha khade hain
hai dard hamara to sada kyun nahin dete

kuchh log jo pichhe hain wo panjon pe khade hain
qad apna ye thoda sa ghata kyun nahin dete

hai aag ka ye khel to phir sochna kaisa
khud apna badan aap jala kyun nahin dete

wo baat jo padhte rahe aankhon mein hamari
wo sare zamane ko bata kyun nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close