mukaddar hi tha kuchh aisa hamara safar katta raha tanha hamara kai chehron ka gham hai is mein shamil hamara hai kahan chehra hamara wo bhule aur hum bhule na un ko talluq hai yahi un ka hamara hamein manzil pe aa kar ye khalish hai palat jate to kya jata hamara nibhane ki musalsal koshishon mein bigadta hi gaya rishta hamara chidhata hai koi lahron ko aksar bana kar ret par naqsha hamara hai apni 'chandni' hi chaar din ki bigadegi hi kya duniya hamara