nai poshak pahne hai purane khwab ki hasrat main hans kar tal deti hun dil-e-betab ki hasrat mohabbat aur kya hai ek sarab-e-tishnagi to hai wahi sahra ki cham-cham mein chamakte aab ki hasrat naya kirdar gadh kar main kahani hi badal deti magar puri na ho pai nae ek bab ki hasrat tumhaari yaad ka gahra talluq aansuon se hai meri palkon ko kya hogi kisi sailab ki hasrat bas itna soch kar is or kashti mod di main ne nikal jae na kyon kar is dafa girdab ki hasrat zamin pe thak ke gir jaun to shayad nind aa jae ki in aankhon ko hai ek umr se ek khwab ki hasrat