munhadim hoti hui aabaadiyon mein fursat-e-yak-KHwab hote

munhadim hoti hui aabaadiyon mein fursat-e-yak-khwab hote
hum bhi apne khisht-zaron ke liye aasudgi ka bab hote

shahr-e-azurda-faza mein aabginon ko ba-ru-e-kar late
sham ki in khanuman viraniyon mein sohbat-e-ahbab hote

taza o ghamnak rakhte aas aur ummid ki sab konpalon ko
aur phir hamrahi-e-baad-e-shabana ke liye mahtab hote

khud-kalami ke bhanwar mein dubti parchhain ban kar rah gae hain
is andheri raat mein ghar se nikalte to sitara-yab hote

khak-aluda zamanon par barasti jhumti kali ghataen
mausamon ki aab-o-khak-araiyon se aaine sairab hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close