munjamid aaKHir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja

munjamid aakhir hai kyun ta-hadd-e-manzar phail ja
chaar jaanib ai mere khun ke samundar phail ja

meri aawara-mizaji ka rakha tu ne bharam
ai ghubar-e-dasht aa sine ke andar phail ja

aa tujhe apni nazar se bhi rakhun mahfuz main
shauq se mujh mein sama andar hi andar phail ja

tazkaron ka odh jama ai meri zinda-dili
har nae qasbe mein ja basti mein ghar ghar phail ja

aah-o-zari chhod apni zat se bahar nikal
qahqahe ki gunj ban kar aasman par phail ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close