phul ho kar phul ko kya chahna

phul ho kar phul ko kya chahna
jab ye be-angan tha jab tha chahna

zakhm sare hi hain apne jism-zad
kis sabab un ka tamasha chahna

phir se ho tajdid-e-khushbu sochiye
chahna aur wo bhi apna chahna

ek mushkil raazdari chahiye
ek mushkil chahaton ka chahna

dast-giri ai nam aankhon wali subh
chahna kya chahna kya chahna

chand ki aayat samundar par padho
chahna us ko to aisa chahna

hasb-za 'manzur' mera nam hai
kaam mera sab ka achchha chahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close